badhe hai din-ba-din tujh mukh ki tab aahista aahista ki jun kar garm ho hai aaftab aahista aahista kiya khat nen tere mukh kun kharab aahista aahista gahan jun mah kun leta hai dab aahista aahista laga hai aap sin ai jaan tere aashiq ka dil rah rah kare hai mast kun be-khud sharab aahista aahista dil aashiq ka kali ki tarah khilta jae khush ho ho ada sin jab kabhi khole naqab aahista aahista laga hai 'abru' mujh kun 'wali' ka khub ye misra sawal aahista aahista jawab aahista aahista