baDhne de abhi kashmakash-e-tar-e-nafas aur

badhne de abhi kashmakash-e-tar-e-nafas aur
ai gosh-bar-awaz zara der taras aur

hum mail-e-parwaz rahe jitni lagan se
uthti hi gai utni hi diwar-e-qafas aur

ye aatish-e-shauq aur ye do-chaar phuwaren
ai abr-e-siyah-mast zara khul ke baras aur

ek qafila-e-zist bichhad jae to kya gham
aati hai bahut dur se aawaz-e-jaras aur

farda mein bahaaron ke nishan dhundne walo
kya hoga zamane ka chalan ab ke baras aur

hum ne jo 'tamannai' bayaban-e-talab mein
ek umr guzari hai to do-chaar baras aur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close