baDi farz-ashna hai saba kare KHub kaam hisab ka

badi farz-ashna hai saba kare khub kaam hisab ka
phir uda ke le gai ek waraq meri zindagi ki kitab ka

kahun kya ki dasht-e-hayat mein raha silsila wo sarab ka
kabhi hausla hi na kar saki meri aankh dariya ke khwab ka

na ata-e-dukhtar-e-raz hai ye na hai faiz-e-saqi-e-mai-nafas
jo chadhe to phir na utar sake ye nasha hai fan ki sharab ka

sar-e-rah mil ke bichhad gae tha bas ek pal ka wo hadsa
mere sehn-e-dil mein muqim hai wahi ek lamha azab ka

mere sath sath safar mein hai mere ghar ki sari hamahami
sar-e-gosh qahqahe ras-bhare sar-e-dosh phul gulab ka

do farishta dast-e-bala liye do chhalakte jam taka kiye
mere ham-rikab wo mauj-e-gul wahi sail-e-chashm-e-pur-ab ka

main agarche kar bhi chuka raqam idhar ek daftar-e-ranj-o-gham
magar intizar hai dam-ba-dam mujhe pahle khat ke jawab ka

ye jo mere saghar-e-dil mein hai mai-e-fan hai khun ki kashid hai
yahi ek umr ka ma-hasal yahi tosha khana-kharab ka

zara soch anjum-e-na-tawan ye wafa ka zikr kahan kahan
sar-e-bazm kar na ise bayan ye sabaq hai sirf nisab ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close