bagh pa kar KHafaqani ye Daraata hai mujhe

bagh pa kar khafaqani ye daraata hai mujhe
saya-e-shakh-e-gul afi nazar aata hai mujhe
jauhar-e-tegh ba-sar-chashma-e-digar malum
hun main wo sabza ki zahrab ugata hai mujhe
muddaa mahw-e-tamasha-e-shikast-e-dil hai
aaina-khana mein koi liye jata hai mujhe
nala sarmaya-e-yak-alam o aalam kaf-e-khak
aasman baiza-e-quamri nazar aata hai mujhe
zindagi mein to wo mahfil se utha dete the
dekhun ab mar gae par kaun uthata hai mujhe
bagh tujh bin gul-e-nargis se daraata hai mujhe
chahun gar sair-e-chaman aankh dikhata hai mujhe
shor-e-timsal hai kis rashk-e-chaman ka ya rab
aaina baiza-e-bulbul nazar aata hai mujhe
hairat-e-aina anjam-e-junun hun jyun shama
kis qadar dagh-e-jigar shola uthata hai mujhe
main hun aur hairat-e-jawed magar zauq-e-khayal
ba-fusun-e-nigah-e-naz satata hai mujhe
hairat-e-fikr-e-sukhan saz-e-salamat hai 'asad'
dil pas-e-zanu-e-aina bithata hai mujhe
Please share if you liked this!!!