baghair tole paron ko uDan mat lena

baghair tole paron ko udan mat lena
zamin walo kabhi aasman mat lena

ye baam-o-dar bhi agar jism ke pighal jaen
kisi se bhik mein tum saeban mat lena

bahut azim hunar hai ye khaksari bhi
tum apne sar pe magar khak-dan mat lena

bas ab to ponchh lo gard-e-malal chehre se
kisi ke zabt ka phir imtihan mat lena

jahan pe log bahut ba-shuur hote hain
khulus-e-dil ka wahan imtihan mat lena

nibah aap agar chahte hain duniya se
kahin bhi shart koi darmiyan mat lena

jo kah sako to kaho warna chup raho 'asrar'
kahin se qarz mein lafz-e-bayan mat lena


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close