baghaur dekh raha hai ada-shanas mujhe

baghaur dekh raha hai ada-shanas mujhe
bas ab zalil na kar ai nigah-e-yas mujhe

ye dil hai shauq mein be-khud wo aankh nashshe mein chur
jhuka na de su-e-saghar bhadakti pyas mujhe

udhar malamat-e-duniya idhar malamat-e-nafs
bada azab hai aae hue hawas mujhe

palat do baat na lo munh se nam rukhsat ka
abhi se ghar nazar aane laga udas mujhe

jo multafit hain ye nazren badal bhi sakti hain
bana chuka hai zamana ada-shanas mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close