bahaar aai kisi ka samna karne ka waqt aaya

bahaar aai kisi ka samna karne ka waqt aaya
sambhal ai dil ki izhaar-e-wafa karne ka waqt aaya

unhen aamada-e-mehr-o-wafa karne ka waqt aaya
badi muddat mein arz-e-muddaa karne ka waqt aaya

rawan hain apne markaz ki taraf aasuda ummiden
hujum-e-yas ko dil se juda karne ka waqt aaya

phir ek gum-karda-rah-e-zindagi ko mil gai manzil
sujud-e-shukr-e-be-payan ada karne ka waqt aaya

kabhi duri thi lekin ab khayal-e-khauf-e-duri hai
fughan ki saaten guzrin dua karne ka waqt aaya

kahan tak khatm rahta darmiyan par dil ka afsana
bil-akhir darmiyan se ibtida karne ka waqt aaya

har ek jurm-e-mohabbat us nigah-e-lutf ke sadqe
nawed-e-afiyat le kar khata karne ka waqt aaya

nigah o dil se ab tafsir-o-sharh-e-azru hogi
zaban o lab se tark-e-iltija karne ka waqt aaya

wo aate hain 'shakil' ab apne dil se hath dho baitho
nigah-e-naz ki qimat ada karne ka waqt aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close