bahaaron ko chaman yaad aa gaya hai mujhe wo gul-badan yaad aa gaya hai lachakti shakh ne jab sar uthaya kisi ka bankpan yaad aa gaya hai meri khamoshiyon par hansne walo mujhe wo kam-sukhan yaad aa gaya hai tumhein mil kar to ai yazdan-parasto ghurur-e-ahraman yaad aa gaya hai teri surat ko jab dekha hai main ne uruj-e-fikr-o-fan yaad aa gaya hai kisi ka khub-surat sher sun kar tera lutf-e-sukhan yaad aa gaya hai mile wo ajnabi ban kar to 'rifat' zamane ka chalan yaad aa gaya hai