bahsen chhiDi hui hain hayat-o-mamat ki

bahsen chhidi hui hain hayat-o-mamat ki
sau baat ban gai hai 'firaq' ek baat ki

saz-nawa-e-dard hijabaat-e-dahr mein
kitni dukhi hui hain ragen kaenat ki

rakh li jinhon ne kashmakash-e-zindagi ki laj
be-dardiyan na puchhiye un se hayat ki

yun fart-e-be-khudi se mohabbat mein jaan de
tujh ko bhi kuchh khabar na ho is wardat ki

hai ishq us tabassum-e-jaan-bakhsh ka shahid
ranginiyan liye hai jo subh-e-hayat ki

chheda hai dard-e-ishq ne tar-e-rag-e-adam
surat pakad chali hain nawaen hayat ki

sham-e-abad ko jalwa-e-subh-e-bahaar de
rudad chhed zindagi-e-be-sabaat ki

us bazm-e-be-khudi mein wajud-e-adam kahan
chalti nahin hai sans hayat-o-mamat ki

sau dard ek tabassum-e-pinhan mein band hain
taswir hun 'firaq' nashat-e-hayat ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close