bahta aansu ek jhalak mein kitne rup dikhaega

bahta aansu ek jhalak mein kitne rup dikhaega
aankh se ho kar gal bhigo kar mitti mein mil jaega

bhulne wale! waqt ke aiwanon mein kaun thaharta hai
biti sham ke darwaze par kis ko bulane aaega

aankh-micholi khel raha hai ek badli se ek tara
phir badli ki yurish hogi phir tara chhup jaega

andhiyare ke ghor-nagar mein ek kiran aabaad hui
kis ko khabar hai pahla jhonka kitne phul khilaega

phir ek lamha aan ruka hai waqt ke sune sahra mein
pal bhar apni chhab dikhla kar lamhon mein mil jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close