bahta hua dariya hun kahin par tha kahin hun

bahta hua dariya hun kahin par tha kahin hun
main lamha-e-maujud ka paband nahin hun

wabasta hun ek silsila-e-ishq se lekin
main chaak-e-gareban hun na main khak-nashin hun

ai dil-zadaganon ke masiha mujhe batlao
kya main teri fihrist-e-dil-o-jaan mein kahin hun

makhsus hai jo sirf tere husn-e-nazar se
us aankh se dekhe koi mujh ko to hasin hun

dildar nigahon ke ishaaron se bala le
main teri pahunch se abhi bahar bhi nahin hun

hai ab bhi wahi dil ke dhadakne ki kahani
tu mujh ko jahan chhod gaya tha main wahin hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close