bahte hue lamhon ki kahani hi badal de

bahte hue lamhon ki kahani hi badal de
dariya to badalta nahin pani hi badal de

ya ghar ko mere daulat-e-aram-o-sukun bakhsh
ya aarzu-e-naql-makani hi badal de

kya us se karen zahmat-e-takrar ki jo shakhs
alfaz ke mahfum-o-maani hi badal de

tarmim-o-tanwwo hai kahani mein zaruri
raja to badalta nahin rani hi badal de

us ghar ki taraf us ki nishani pe chale ho
'mohsin' wo agar ghar ki nishani hi badal de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close