bahut dubli bahut patli hayati hoti jati hai

bahut dubli bahut patli hayati hoti jati hai
chapati rafta rafta kaghzati hoti jati hai

hamare gal bhi pichke hue amrud jaise hain
aur un ki nak hai ki nashpati hoti jati hai

mili hai hukmarani des ki jab parsaon ko
to apni qaum kyon phir wardati hoti jati hai

bajat us ka khasare ka aur apna bhi khasare mein
hukumat bhi hamari ham-jamati hoti jati hai

wo london mein makin hain aur main hun chechun ki malyan mein
hamari dosti qalmi dwati hoti jati hai

hamare darmiyan baithe hue hain afsar-e-ala
tabhi to aaj apni chaudi chhati hoti jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close