bahut hai ab meri aankhon ka aasman us ko gaya wo daur ki thi fikr-e-ashiyan us ko kiya hai saltanat-e-dil pe hukmaran us ko nawazishon ka saliqa magar kahan us ko shigaf-e-zakhm jo mera na khul gaya hota to kaise milti ye shamshir-e-kahkashan us ko jidhar bhi jata hai wo shola-e-bahaar-sarisht duaen deta hai amboh-e-kushtgan us ko khud us ki apni chamak ne suragh us ka diya chhupaya main ne bahut zer-e-ab-e-jaan us ko samundar apna sa munh le ke rah gae 'ishrat' kiya tarawash-e-shabnam ne be-karan us ko