bahut hi parde mein izhaar-e-arzu karte

bahut hi parde mein izhaar-e-arzu karte
nigahen kahti hain hum un se guftugu karte

sharab-e-nab se saqi jo hum wuzu karte
haram ke log tawaf-e-khum-o-subu karte

wo mil ke dast-e-hinai se dil lahu karte
hum aarzu to hasin khun-e-arzu karte

darogh-bafi-e-dushman ka haal kya khulta
jo parda chaak bhi hota to wo rafu karte

utar late unhen baam-e-tur se dil mein
hum ikhtiyar wo andaz-e-guftugu karte

dare wo kyun mere phulon mein aati mil ke hina
ye phul khak tamanna-e-rang-o-bu karte

kalim ko na ghash aata na tur hi jalta
dabi zaban se izhaar-e-arzu karte

jo zarf-e-ab hamein mai-kade mein mil jata
namaz kabe mein padhte yahan wuzu karte

mah-e-siyam mein mauqa jo shab ko mil jata
to ek sans mein khali khum-o-subu karte

sharab pite hi sajde mein un ko girna tha
ye shaghl baith ke mai-nosh qibla-ru karte

har ek qatre se bahti riyaz ju-e-sharab
jo pi ke hum sar-e-zamzam kabhi wuzu karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close