bahut kaThin hai bikharne ka hausla rakhna

bahut kathin hai bikharne ka hausla rakhna
sabab tumhin ho magar tum se kya gila rakhna

na jaane kaun se mausam se sabiqa pad jae
hamare haq mein duaon ka silsila rakhna

khuda kare ki use apni baat yaad rahe
gaya hai kah ke mujhe apna dar khula rakhna

mere baghair ruton ko wo kaise katega
isi khayal mein bas khud ko mubtala rakhna

ye zindagi badi mushkil se ram hoti hai
kabhi mile to mohabbat se rabta rakhna

tera suluk ho aisa to kaise mumkin hai
shahad zaban pe to lahje mein shukriya rakhna

main be-niyaz mujhe kya gharaz natije se
mera to kaam hai bas apna muddaa rakhna

jahan shikast ho aur wapsi ki khwahish bhi
us ek pal ko mere nam se bacha rakhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close