bahut kuchh muntazir ek baat ka tha ki lamha lakh imkanat ka tha bacha li thi ziya andar ki us ne wahi ek aashna ab raat ka tha rafaqat kya kahan ke mushtarak khwab ki sara silsila shubhat ka tha bagule us ke sar par chikhte the magar wo aadmi chup zat ka tha hinai hath ka manzar tha 'bani' ki tabinda waraq isbaat ka tha