bahut se zaKHm jinko mustaqil mehman rakkha hai

bahut se zakhm jin ko mustaqil mehman rakkha hai
badan ki qaid mein kuchh dard ka saman rakkha hai

kabhi lagta hai ki main aasman ko chhu ke aai hun
kabhi lagta hai raste mein koi tufan rakha hai

har ek lamha guman ki dastaras mein kya bataen hum
kahan ummid rakkhi hai kahan iman rakkha hai

tumhaari aankh mein thahra hua pani batata hai
mohabbat ki thi tum ne aur us ka man rakkha hai

mere aaba ke ghar ko bech kar mujh se wo kahta hai
wahin kamra pada hai aur wahin dalan rakkha hai

hamari himmaton ki dad de kar laut jaega
hamare samne jis gham ne sina tan rakkha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close