bahut tuta hun lekin hausla zinda bahut kuchh hai mere andar abhi isar ka jazba bahut kuchh hai ata ki hai usi ne zindagi ko karb ki daulat magar is mein mere dil ka bhi sarmaya bahut kuchh hai bachata hai kahan ye dopahar ki dhup se hum ko yun kahne ko yahan diwar ka saya bahut kuchh hai mohabbat ka jise aaseb kahte hain jahan wale mere dil par isi aaseb ka saya bahut kuchh hai wo aaya hai na aaega bujha de yaad ki shamen dil-e-nadan ko tanhai mein samjhaya bahut kuchh hai koi do ghunt pi kar ji to sakta hai 'wali' lekin kisi dariya se tishna-lab guzar jaana bahut kuchh hai