bais koi aisa hai ki main kuchh nahin kahta

bais koi aisa hai ki main kuchh nahin kahta
warna mujhe sauda hai ki main kuchh nahin kahta

ilzam ye jhuta hai ki main kuchh nahin kahta
kya wo meri sunta hai ki main kuchh nahin kahta

jhuta tera kahna hai ki main kuchh nahin kahta
dawa mera sachcha hai ki main kuchh nahin kahta

tu dekh raha hai jo mera haal hai qasid
mujh ko yahi kahna hai ki main kuchh nahin kahta

kahna jo na tha kah gaya dekho to dhitai
aur phir kahe jata hai ki main kuchh nahin kahta

wo zid pe tule baithe hain kya bahs se hasil
mauqa hi ye aisa hai ki main kuchh nahin kahta

thi sama-kharashi ki shikayat kabhi un ko
ab sunta hun shikwa hai ki main kuchh nahin kahta

bad-goi si bad-goi hai bohtan sa bohtan
aur us pe wo kahta hai ki main kuchh nahin kahta

main kuchh kahun to hath wo kanon pe hain dharte
aur ulta ye chheda hai ki main kuchh nahin kahta

aata hai jo munh par wo kahe jate hain be-rok
aur us pe ye fiqra hai ki main kuchh nahin kahta

main dekh chuka hun unhin kah kah ke magar kya
us ka hi natija hai ki main kuchh nahin kahta

main kis se kahun kya kahun sunta hai wahan kaun
us ka hi ye mansha hai ki main kuchh nahin kahta

ye tark-e-mohabbat nahin un se magar ai dost
ranj aisa hi pahuncha hai ki main kuchh nahin kahta

qainchi si chali chalti hai dekho to zaban aur
us par bhi ye dawa hai ki main kuchh nahin kahta

raaz un ke khule jate hain ek ek sabhon par
aur us pe tamasha hai ki main kuchh nahin kahta

sach baat ke sunne ki unhen tab kahan hai
is se yahi achchha hai ki main kuchh nahin kahta

baaten hain ki chhuriyan si chubhi jati hain dil mein
mera hi kaleja hai ki main kuchh nahin kahta

main kahne pe aaun to rula kar unhen chhodun
mat puchh sabab kya hai ki main kuchh nahin kahta

chup-chap suni an-suni kar deta hun har baat
ghairon mein bhi charcha hai ki main kuchh nahin kahta

nazuk hai mizaj un ka yahan sach ki hai aadat
is samjhe sabab kya hai ki main kuchh nahin kahta

bigda hai mizaj aur kahin tez na ho jaen
mujh ko yahi sansa hai ki main kuchh nahin kahta

kyun apni zaban se kahun puchho tum unhin se
raaz is mein nahin ya hai ki main kuchh nahin kahta

jo ranj azizon ne diye kya kahun 'kaifi'
ghairat ka taqaza hai ki main kuchh nahin kahta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close