baiTha tha tan ko Dhank ke jo garm shaal se

baitha tha tan ko dhank ke jo garm shaal se
mushkil mein pad gaya wo sitaron ki chaal se

khamoshiyon ki rah pe ho kar ke gamzan
rakhna kabhi na soch ka rishta malal se

ummid aisi un se matanat ki thi nahin
bachche bigad gae hain bahut dekh bhaal se

dam-kham to kuchh nahin tha haqiqat ke nam par
ghabra gaya jahan hamari majal se

kuchh maslahat ke nam pe chup chap hum rahe
waqif the warna waqt ke poshida haal se

chadar pe aasman ki bikhri thi chandni
aarasta zamin thi is ke jamal se

tum shahr ja rahe ho to jao magar wahan
arman milenge dekhna behad nidhaal se

afsurda fikr thi jo qadamat ke khol mein
shadab ho gai hai wo raushan khayal se

ek patte ki bisat tumhaari hai 'sahni'
mitti mein ja miloge juda ho ke dal se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close