baithe jo sham se tere dar pe sahar hui afsos ai qamar ki na mutlaq khabar hui arman-e-wasl yunhi raha so gae nasib jab aankh khul gai to yakayak sahar hui dil aashiqon ke chhid gae tirchhi nigah se mizhgan ki nok-e-dushman-e-jaani jigar hui pachhtata hun ki aankh abas tum se lad gai barchhi hamare haq mein tumhaari nazar hui chhani kahan na khak na paya kahin tumhein mitti meri kharab abas dar-ba-dar hui dhyan aa gaya jo sham ko us zulf ka 'rasa' uljhan mein sari raat hamari basar hui