baja hai hum zarurat se ziyaada chahte hain

baja hai hum zarurat se ziyaada chahte hain
magar ye dekh sab kuchh be-irada chahte hain

bahut dil-tang hain gunjaish-e-maujud se hum
rah-e-imkan kushada se kushada chahte hain

purani hai numu-asar hai phir bhi ye mitti
badan se aur abhi kuchh istifada chahte hain

sawar aate nahin hain laut kar jin ghatiyon se
safar is khunt ka ek pa-pyaada chahte hain

bahut be-zar hain ashrafiya ki rahbari se
koi insan koi khak-zada chahte hain

koi izhaar aamada hai dil ki dhadkanon mein
hum us ke waste ek lahan-e-sada chahte hain

jo ho maqbul us ki bargah-e-haq-ada mein
wo ek lamha 'riyaz' aadhe se aadha chahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close