bajae koi shahnai mujhe achchha nahin lagta

bajae koi shahnai mujhe achchha nahin lagta
mohabbat ka tamashai mujhe achchha nahin lagta

wo jab bichhde the hum to yaad hai garmi ki chhuttiyan thin
tabhi se mah july mujhe achchha nahin lagta

wo sharmati hai itna ki hamesha us ki baaton ka
qariban ek chauthai mujhe achchha nahin lagta

na-jaane itni kadwahat kahan se aa gai mujh mein
kare jo meri achchhai mujhe achchha nahin lagta

mere dushman ko itni fauqiyat to hai bahar-surat
ki tu hai us ki ham-sai mujhe achchha nahin lagta

na itni dad do jis mein meri aawaz dab jae
kare jo yun pazirai mujhe achchha nahin lagta

teri khatir nazar-andaz karta hun use warna
wo jo hai na tera bhai mujhe achchha nahin lagta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close