bal paDne laga abru-e-KHamdar ke upar

bal padne laga abru-e-khamdar ke upar
aa jae na aafat kahin do-chaar ke upar

qatraat-e-araq hain nahin ye silk-e-guhar hain
kya aks-fagan us rukh-e-gulnar ke upar

khun-rezi pe bandhega kamar jab ki wo saffak
gulzar bana dega tan-e-zar ke upar

bosa jo talab main ne kiya bole ye aghyar
talwar chalegi isi takrar ke upar

wada kiya aane ka par aae nahin hargiz
kya hoe yaqin aap ke iqrar ke upar

khubon ko mohabbat hai buron se bhi ki jun gul
rahta hai sada saya-fagan khar ke upar

tasir hai taqrir mein us shokh ki itni
khamosh huin bulbulen guftar ke upar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close