bala ka zikr kya ye mauj bhi ghanimat hai

bala ka zikr kya ye mauj bhi ghanimat hai
tamasha dekh rahe hain yahi ghanimat hai

kisi ke mal se koi gharaz nahin hum ko
hamari jeb mein jo hai wahi ghanimat hai

khuli hui hain jo rahen to ye samajh lo tum
ki apne shahr ka mausam abhi ghanimat hai

hamein hai fakhr ki nisbat ke pasdar hain hum
hamare waste har shai badi ghanimat hai

khud apne-ap ko patthar bata rahe hain sab
nazakaton se hain waqif sabhi ghanimat hai

musalahat ki tamanna hui hai to 'rahat'
har ek shart hi ab lag rahi ghanimat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close