bala-kash-e-gham-e-geti hai jaan-e-zar abhi

bala-kash-e-gham-e-geti hai jaan-e-zar abhi
hayat sar pe uthae hue bar abhi

mili kahan hai tujhe teri rahguzar abhi
hai yan se dur bahut dur ku-e-yar abhi

mah-o-nujum fasurda gul-o-saman giryan
hai kaenat mere gham mein sogwar abhi

kahun to kaise kahun us ko daur-e-adl-o-ata
hai dar-o-gir abhi jabr-o-ikhtiyar abhi

balaen aain sitam par sitam hue lekin
badal saka na zamana mera shiar abhi

sitare dub gae shamen bujh gain jal kar
khuli hui hai magar chashm-e-intizar abhi

dayar-e-dil mein na jaane hai kab se virani
wa-lek shahr-e-nigaran mein hai bahaar abhi

utho sanwaro nikhaaro hayat-e-nau bakhsho
urus-e-dahr ki aankhon mein hai khumar abhi

na nam loge jafaon ka bhul kar bhi 'jalil'
nahin hue ho jafaon se ham-kanar abhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close