ban kar lahu yaqin na aae to dekh len tapki hain pa-e-khwab se sahra ki wusaten puchhe kabhi jo aabla pai ki dastan dariya se kah bhi dete pa sahra se kya kahen chalna hai sath sath rah-e-zist mein to aao na-ashnaiyon ki qabaen utar den jis ko chhupa ke dil mein samundar ne rakh liya baadal ke munh se aao wahi dastan sunen panw mein kitne taron ke kante chubho liye is ek aarzu mein ki suraj se ja milen chehron pe chun ke phaile the qaus-e-quzah ke rang aao kharid laen kahin se wo saaten baadal ne aa ke rok diya warna ek din ek aag pine wali thi jangal ki uljhanen