bana hua tha kahin aab-dan kaghaz par

bana hua tha kahin aab-dan kaghaz par
thi itni pyas ki rakh di zaban kaghaz par

kiraye-dar ki aankhon mein aa gae aansu
banae baithe the bachche makan kaghaz par

tumhaare khat mein nazar aai itni khamoshi
ki mujh ko rakhne pade apne kan kaghaz par

tamam umr guzari hai dhup mein shayad
bana raha hai koi saeban kaghaz par

utha liya hai qalam ab to main ne bhi 'yasir'
utar dalunga sari thakan kaghaz par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close