bana kar saneha koi tamasha ye karaata hai

bana kar saneha koi tamasha ye karaata hai
falak masum logon ko bahut aansu rulata hai

main dil ki lash par nauha-kunan hun aur tu zalim
bula kar shahr-daron ko mera chehra dikhata hai

are had ho chuki bas be-hisi ye ahl-e-masnad ki
sar-e-bazar lashon ki koi boli lagata hai

yahan chalta hai mere shahr mein qanun jangal ka
yahan har memana koi darinda kat khata hai

tujhe malum bhi hai ye nagar hai zulm-zadon ka
hai anqa adl yan zanjir kis khatir hilata hai

use aati faqat hai masnad-e-jaan par khud-arai
wo farigh baith kar bas khali taqriren banata hai

mere maula mere bachchon ko rakh apne aman mein tu
ki 'adil' waqt ka haalat pe meri muskuraata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close