band kamre mein dam na ghuT jae

band kamre mein dam na ghut jae
khidkiyan khol do hawa aae

aa ke suraj saron pe baith gaya
chhup gae hain badan badan sae

itna dam to kisi diye mein nahin
kaun pagal hawa ko thahrae

kya karen le ke aisi barish ko
rang phulon ka jis mein dhul jae

kabhi tujh ko bhi bhulna chahun
koi shaitan hai jo bahkae

dasht-e-jaan par baras rahe hain rang
ek aanchal faza mein lahrae

qaid zindan-e-khamushi mein koi
khud bhi tadpe mujhe bhi tadpae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close