banti nahin baat to phir baat kya karen

banti nahin baat to phir baat kya karen
bigde hue hain shahr ke haalat kya karen

aati nahin giraft mein sanson ki doriyan
hain gardish-e-mudam mein din-raat kya karen

lafzon ki ek fauj hai apni kaman mein
munh mein nahin zaban to maqalat kya karen

tuta talluqat ka har ek silsila
thande pade hain wasl ke jazbaat kya karen

ai dost chaara-sazi-e-chaara-garan na puchh
bad-tar hue hain aur bhi haalat kya karen

aish-o-tarab ki mahfilen un ka nasib hain
hum ko mile hain dard ke naghmat kya karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close