baqar nishan-e-gham-o-ranj-o-alam to ho

'baqar' nishan-e-gham-o-ranj-o-alam to ho
chhodo kuchh aur baat karo dard kam to ho

ai kushta-e-khulus-e-mohabbat ba-kar-bash
lab par shaguftagi na sahi aankh nam to ho

har dam rahe hadis-e-mani se hum ko kaam
zikr-e-khuda agar nahin zikr-e-sanam to ho

kuchh to pia-e-shikast-e-sukut-e-shab-e-alam
girya sahi fughan sahi kuchh dam-ba-dam to ho

chashm-e-ghazal-o-husn-e-ghazal ka bayan rahe
kuchh aisi baat jo pai-e-taskin-e-gham to ho

qanun-e-bagh-bani-e-sahra to likh chuke
unwan-e-zist bhi kisi surat raqam to ho

ek umr tu ne tute pyalon pe kat di
'baqar' piye sharab koi jam-e-jam to ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close