baqi hai tab-e-zabt na taqat fughan ki hai

baqi hai tab-e-zabt na taqat fughan ki hai
haalat bahut saqim dil-e-na-tawan ki hai

aankhon mein josh hai kabhi tufan nuh ka
dil mein mere tadap kabhi barq-e-tapan ki hai

ai aah-e-na-rasa tere nale hain be-asar
behtar yahi hai baat rahe jo jahan ki hai

hota hai josh gar ye jo ab baat baat par
dil mein mere ye chot ilahi kahan ki hai

ai dil tujhe natija-e-ulfat hai khub yaad
aur phir bhi aarzu tujhe ku-e-butan ki hai

jis ko samajh rahe hain wo baadal ki ek garaj
fariyaad dardnak kisi khasta-jaan ki hai

bulbul hai khush ki bagh mein hai khak aashiyan
ye kaun jaanta hai ki mitti kahan ki hai

sone diya na shor-e-qayamat ne qabr mein
samjha tha main ki jae ye amn-o-aman ki hai

rang-e-shafaq se sham ko milta hai ye pata
ab aasman pe gard mere karwan ki hai

mansur ki fana hai baqa-e-sada-e-haq
aawaz wadiyon mein abhi tak azan ki hai

samjha raha hun dil ko nahin phir bhi e'timad
wo baat kah raha hun jo un ki zaban ki hai

hai dil-gudaz yun bhi meri dastan-e-gham
tasir us pe kuchh mere tarz-e-bayan ki hai

'hafiz' ye kaenat na ho jae jal ke khak
badhti hui tapish mere soz-e-nihan ki hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close