barae nam sahi hasil-e-talab thahra wo ek lamha jo sarmaya-e-tarab thahra khule saron pe ghani chhanw le ke aaya tha hamare pas wo abr-e-rawan bhi kab thahra naqib-e-amn raha main mahaz-e-jang pe bhi yahi usul meri fatah ka sabab thahra kiya tha jis ko kabhi tere nam se mansub wahi sahifa to sarmaya-e-adab thahra wahi mere liye wajh-e-nashat-e-ruh tha 'naz' wo ek tabassum-e-rangin jo zer-e-lab thahra