barson ashkon se wuzu ka silsila karte rahe

barson ashkon se wuzu ka silsila karte rahe
hum namaz-e-zindagi yun bhi ada karte rahe

hum barabar dosti ka haq ada karte rahe
aur wo rozana ek fitna khada karte rahe

hum bayan ro ro ke dil ka muddaa karte rahe
ahl-e-mahfil muskura kar wah-wa karte rahe

kya bataen zindagani ishq ki kaise kati
wo jafa karte rahe aur hum wafa karte rahe

umr-bhar ahl-e-watan ne baat tak mujh se na ki
log meri qabr par phir jamghata karte rahe

chand ke manind mukhde ki ziya-pashi ke gird
apni zulf-e-ambarin se wo ghata karte rahe

ek nazar tu ne na dekha bismilan-e-zar ko
log tera zikr-e-chashm-e-surma-sa karte rahe

wo jinhen aai mayassar ibtida-e-mal-o-zar
hum pe har lahza sitam ki intiha karte rahe

ahl-e-danish dekhen un ki sadgi bechaargi
jo wasilon ke bharose par khata karte rahe

rahrawo ruk jao socho is paheli ka jawab
rahnumaon ke nishane kyun khata karte rahe

kya sunaen jaan-ba-lab qaumon ki bimari ka haal
dard badhta hi gaya jun jun dawa karte rahe

ho na paya jaan-ba-lab lakhon gharibon ka ilaj
ahl-e-sarwat tanduruston ki dawa karte rahe

ho gae koshish mein apni kaam wale kaamyab
aur nakara muqaddar ka gila karte rahe

main to bahr-e-gham ke tufanon se takraata raha
log kuchh sahil pe baithe tabsira karte rahe

man tura haji bagoyam tu mora haji bago
shairan-e-pesha-war ye mashghala karte rahe

shar-pasandon ki riayat mein faqihan-e-kiram
zisht ko khub aur rawa ko narawa karte rahe

sarguzisht apni to sari ye hai ai rabb-e-rahim
darguzar karta raha tu hum khata karte rahe

raat chashm-e-'raaz' pahron ashk barsati rahi
khel ke shauqin rona kirkira karte rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close