bas ek bhul ki bharpaiyon se ladta raha tamam umr main ruswaiyon se ladta raha tamam umr ujalon ke misl mera uruj mere zawal ki gahraiyon se ladta raha mere wajud pe ghaalib tha raat ek badan tamam raat main angdaiyon se ladta raha hisar-e-shab mein wo tanha kisi mujahid sa koi badan tha jo parchhaiyon se ladta raha hasin yaadon ki ek anjuman sajata raha main tere baad yun tanhaiyon se ladta raha