bas ek mah-e-junun-KHez ki ziya ke siwa

bas ek mah-e-junun-khez ki ziya ke siwa
nagar mein kuchh nahin baqi raha hawa ke siwa

hai ek aur bhi surat kahin meri hi tarah
ek aur shahr bhi hai qarya-e-sada ke siwa

ek aur samt bhi hai us se ja ke milne ki
nishan aur bhi hai ek nishan-e-pa ke siwa

zawal-e-asr hai kufe mein aur gadagar hain
khula nahin koi dar bab-e-iltija ke siwa

makan-e-zar lab-e-goya had-e-sipahr-o-zamin
dikhai deta hai sab kuchh yahan khuda ke siwa

meri hi khwahishen bais hain mere gham ki 'munir'
azab mujh pe nahin harf-e-muddaa ke siwa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close