bas is taqsir par apne muqaddar mein hai mar jaana tabassum ko tabassum kyun nazar ko kyun nazar jaana khirad walon se husn o ishq ki tanqid kya hogi na afsun-e-nigah samjha na andaz-e-nazar jaana mai-e-gulfam bhi hai saz-e-ishrat bhi hai saqi bhi bahut mushkil hai aashob-e-haqiqat se guzar jaana gham-e-dauran mein guzri jis qadar guzri jahan guzri aur is par lutf ye hai zindagi ko mukhtasar jaana