bashar ki zad mein junun bhi hai aagahi bhi hai

bashar ki zad mein junun bhi hai aagahi bhi hai
ye musht-e-khak farishta bhi aadmi bhi hai

hazar haif wahi dushmani pe hain mail
wo log jin pe hamein haqq-e-dosti bhi hai

dayar-e-ishq mein aise gada bhi dekhe hain
ki jin ke zer-e-kaf-e-pa shahanshahi bhi hai

fasana jis ko samajh kar bigad rahe ho tum
jo sun sako to wo ahwal waqai bhi hai

hawas sharik ho is mein to maut hai warna
jo sidq ho to mohabbat mein zindagi bhi hai

har ek tar-e-rag-e-jaan mein naghmagi bhar di
sitam ki us pe ye talqin-e-khamushi bhi hai

wafa ka zikr to karte hain raat din sab log
wafa zamane mein lekin kahin rahi bhi hai

payam-e-wasl diya hai hamein adu ke hath
karam ke sath ada-e-sitamgari bhi hai

ye dil jo waqif-e-asrar-e-do-jahan nikla
khusha-nasib ki ye khud se ajnabi bhi hai

surur ishq ka hai zarf-e-dil pe dar-o-madar
ye daimi sa nasha bhi hai aarzi bhi hai

tu pi ke lutf uthata hai ya bahakta hai
utha ki shishe mein ek dew bhi pari bhi hai

hujum-e-gham ke andhere bhi dil mein hain lekin
kisi ki yaad ki ujli si raushni bhi hai

rahin-e-wusat-e-daman hai ishq ki khairaat
sakhi ke ghar mein kisi baat ki kami bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close