bason par tabassum to aankhon mein pani yahi hai yahi dil-jalon ki nishani teri be-rukhi aur teri mehrbani yahi maut hai aur yahi zindagani wahi ek fasana wahi ek kahani jawani jawani jawani jawani na ab wo masarrat na wo shadmani daregha jawani daregha jawani mohabbat hi hai asl mein jawedani budhapa bhi fani jawani bhi fani ata kar mujhe wo maqam-e-mohabbat kare husn khud ishq ki pasbani bataun hai kya aansuon ki haqiqat jo samjho to sab kuchh na samjho to pani zamin se talluq na rishta falak se musibat hai goya buland aashyiani 'sahar' is jahan-e-bahaar-e-khizan mein khushi daimi hai na gham jawedani