bata kya kya tujhe ai shauq-e-hairan yaad aata hai

bata kya kya tujhe ai shauq-e-hairan yaad aata hai
wo jaan-e-arzu wo rahat-e-jaan yaad aata hai

pareshan-khatiri had se guzarti hai to wahshat ko
kisi ka aalam-e-zulf-e-pareshan yaad aata hai

guzarta hai kabhi jab chaudhwin ka chand badli se
mahin aanchal mein un ka ru-e-taban yaad aata hai

andheri raat mein jugnu chamakte hain to rah rah kar
dupatte ke sitaron ka charaghan yaad aata hai

ufuq par phailti hain surkhiyan jab subh-e-taza ki
koi sina pas-e-chaak-e-gareban yaad aata hai

kali ko phul bante dekh kar ahd-e-bahaaran mein
koi chehra bahut nau-khez-o-khandan yaad aata hai

ghazal jab chhed deta hai koi ahd-e-jawani ki
kisi ka jism-e-mauzun-o-ghazal-khwan yaad aata hai

wo tufan karwaten leta tha jo ek jism-e-raana mein
wo tufan ham-kinari ka wo tufan yaad aata hai

wo arman jo kisi ke shokh honton par machalta tha
wo arman bosa-e-lab ka wo arman yaad aata hai

wufur-e-shauq se khud hath apne chum leta hun
wufur-e-shauq mein jab un ka daman yaad aata hai

bahut kuchh yaad aata hai 'rais' un ki judai mein
magar jaise koi khwab-e-pareshan yaad aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close