bataen kya amal ishq-e-haqiqi ka kahan tak hai

bataen kya amal ishq-e-haqiqi ka kahan tak hai
zamin kya aasman tak hai makan kya la-makan tak hai

tayyun se bari ho gar hai la-mahdud ka talib
ki hadd-e-mulk-o-duniya to wahin tak hai jahan tak hai

na ho aazad daur-e-charkh ki halqa-ba-goshi se
tera markuz dil-e-mao-shuma aur in-o-an tak hai

to bismillah ke gumbad mein kya hai moatakif zahid
sukun-e-khatir-e-muztar hawason se aman tak hai

pahunch sakta hai kab sachchi khushi ko aish-e-nafsani
ki wo to aab-e-ruknabaad wa ju-e-muliyan tak hai

hai shaikh-o-barahman ke din ki had dair-o-kaba tak
sawad-e-din-e-ishq-e-be-gharaz kaun-o-makan tak hai

yaqin se aur amal se pukhtagi pai aqidat ne
pahunch teri to ai nadan bas wahm-o-guman tak hai

haqiqat husn ki aaina tujh par kyunki ho jati
nazar teri to zulf-o-khal-o-abru-e-butan tak hai

jo hain mast-e-alast un ko khumar-o-sukr ka dar kya
nigah-e-tishna-kaam-e-ishq hi dast-e-mughan tak hai

hasir-e-ishq ko kab dakhl is mahfil mein hai 'kaifi'
bisat us ki faqat bain-o-buka aah-o-fughan tak hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close