bayaban-zad koi kya kahe khud be-makan hai samundar ai samundar tera apna ghar kahan hai wafa ka ahd kya bandhun abhi ai dast-e-khushbu abhi baadal hina-pa hai abhi suraj jawan hai ajab afsun-sifat sara na chhup kar hai na zahir jazira aisa soya hai wo dariya sa rawan hai hawa hai munharif khud apni hi tahrir se kyun haqiqat kya yahi hai wo bhi bilkul be-aman hai sawal aisa ki is ka lab hilana bhi tha mushkil ye puchha tha ki khushbu basta hai ya rawan hai koi to ham-sukhan hota ki us se baat karte batate khul ke wo kya lafz hai jo be-bayan hai mere pas aa kabhi ai lamha-e-harf-e-masarrat ki main bhi dekh lun aakhir tu kitna khush-zaban hai hawa ka hath kya aatish-e-badan hai jo saf-e-gul ho mausam koi bhi ye to wahi shoala-ba-jaan hai jo sab kuchh dekh kar bhi dekhne deta nahin kuchh kahun 'manzur' kya aankhon mein ye kaisa dhuan hai