bayan ho kis tarah soz-o-alam ki dastan meri

bayan ho kis tarah soz-o-alam ki dastan meri
na sathi koi sunta hai na mir-e-karwan meri

mera shauq-e-takallum mujh ko kis mahfil mein le aaya
yahan to baat karne ko tarasti hai zaban meri

zaban par sabt gar mohr-e-sitamgar hai to kya gham hai
ki meri khamushi hi ban rahi hai ab zaban meri

mujhe ai baghban shikwa ho kyon qaid-o-salasil ka
ki ab sare chaman ki dastan hai dastan meri

nishan to mit gaya sayyaad mere aashiyane ka
chaman mein har taraf bikhri hai khak-e-ashiyan meri

kuchh aisa soz pinhan tha mere andaz-e-girya mein
chaman walon ne mil kar lut li tarz-e-fughan meri

jahan mein kis tarah mujh ko sukun-e-qalb hasil ho
bani hai zindagi hi jab sarapa imtihan meri

meri sahra-nawardi par na ho hairan ai hamdam
abhi hai aarzu-e-abla-pai jawan meri

ye dil hai ya ki hai nakaam ummidon ka gahwara
ki har khwahish hai hasrat-khez har hasrat jawan meri

'said' apna watan har aan hi aankhon mein rahta hai
usi ki yaad goya ban gai hai jaan-e-jaan meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close