be-aman shab ka dhuan Dar ki taraf khinchta hai

be-aman shab ka dhuan dar ki taraf khinchta hai
ek nadida samundar ki taraf khinchta hai

dil kahin dur bahut dur nikal jata hai
waqt taswir ke andar ki taraf khinchta hai

main khurachta hun hatheli se lakiron ka azab
ek sitara mujhe mehwar ki taraf khinchta hai

dasht-e-ehsas ki shiddat se nikalna hai muhaal
dard bite hue manzar ki taraf khinchta hai

chand dhundlae hoe aks hain pas-manzar mein
ye koi khwab mujhe ghar ki taraf khinchta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close