be-dam hue yun ho ke giraftar-e-mohabbat

be-dam hue yun ho ke giraftar-e-mohabbat
kahta hai masiha ki hun bimar-e-mohabbat

rota hai shab-e-hijr mein dil khun ke aansu
milta nahin koi use gham-khwar-e-mohabbat

in husn ki galiyon mein kharidar bahut hain
lagta hai shab-o-roz ye bazar-e-mohabbat

alfaz hain khanjar to bujha zahr mein lahja
aise mein bhala kaise ho iqrar-e-mohabbat

ab ishq hai ruswa to bigadta hai tera kya
be-kar mein karta hai tu paikar-e-mohabbat

mit jaenge hum un ko khabar tak nahin hogi
ye soch ke karna pada izhaar-e-mohabbat

ab dekhen wahan kaun lagae nai boli
aate hain jahan roz kharidar-e-mohabbat

tanhai mein socha tujhe jaana tujhe samjha
phir khulne lage hum pe bhi asrar-e-mohabbat

'tishna' se karen log mohabbat ki jo baaten
kaise main bataun ki hun be-zar-e-mohabbat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close