be-had gham hain jin mein awwal umr guzar jaane ka gham

be-had gham hain jin mein awwal umr guzar jaane ka gham
har khwahish ka dhire dhire dil se utar jaane ka gham

har tafsil mein jaane wala zehn sawal ki zad par hai
har tashrih ke pichhe hai anjam se dar jaane ka gham

jaane kab kis par khul jae shahr-e-fana ka darwaza
jaane kab kis ko aa ghere apne mar jaane ka gham

ye jo bhid hai be-haalon ki daud hai chand niwalon ki
nan-o-namak ka bojh liye jaldi se ghar jaane ka gham

dariya par utarne wale ye bhi jaan nahin pae
kise kinare par le duba par utar jaane ka gham

'azm' udasi ka ye sahra yun qadmon se lipta hai
jalne walon ko mil jae jaise thahar jaane ka gham


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close