be-haqiqat duriyon ki dastan hoti gai

be-haqiqat duriyon ki dastan hoti gai
ye zamin misl-e-sarab-e-asman hoti gai

kis kharabi mein hua paida jamal-e-zindagi
asl kis naql-e-makan mein raegan hoti gai

tangi-e-imroz mein aainda ke aasar hain
ek zid badh kar kisi sukh ka nishan hoti gai

dusre rukh ka pata jis ko tha wo khamosh tha
wo kahani bas isi rukh se bayan hoti gai

ek sada utthi to ek aalam hua paida 'munir'
ek kali mahki to pura gulsitan hoti gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close