be-KHud mujhe ai jalwa-e-jaanana bana de

be-khud mujhe ai jalwa-e-jaanana bana de
duniya meri hairat ko tamasha na bana de

ai ishq ab ehsas se begana bana de
warna kahin gham-e-dil ko khilauna na bana de

jis bazm mein pahunchun main banun bazm ka hasil
itna to teri chashm-e-karimana bana de

aaya hun main bhatka hua sahra-e-junun se
ai aql kahin tu bhi na diwana bana de

mahfil meri aankhon mein tujhe dhund rahi hai
tu mujh ko kahin anjuman-ara na bana de

bad-bakht hun jate hue darta hun chaman mein
qismat kahin har phul ko kanta na bana de

'jauhar' pe sitam tark-e-mohabbat ki hai tamhid
ye jaur tumhein aur bhi pyara na bana de

har gam pe kuchh phul chune jate ho 'jauhar'
ye shauq kahin bagh ko sahra na bana de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close